Tumhare saath life main hai full dhamaal;
Kyunki tum ho totally bemisaal;
Arre wah, Ye shayari toh ban rahi hai Kamaal;
Arz hai –
Tumne kar diya mere dil ko malamaal;
Tumse dooor reh ke hota hai mera bura haal;
Lagta hai set ho gayi hai hamaari taal pe Taal!
Tum hoti jaa rahi ho jawaan par lagta hai main buddha ho raha hoon, kyunki jhadne lage hain mere baal;
Ab main kya bataoun, tum hi ne toh banaya hai mera ye haal!
Ab toh kuch pata hi nahin chalta hai ki kab beet jaate hain ye din, mahine, saal;
Here you say – wah wah.
Lekin kya ab bhi lag raha ki main kar raha hoon Golmaal?!;
ok,
Isse pehle ki iss lousy poetry ko sun ke tum badal do meri chaal;
Chalo main keh deta hoon…
I love you and HAPPY ANNIVERSARY !!
Kyunki ho gaye hain ab hamain ek dusre ke saath chaar Saal.
[Dedicated to my wife]
wow cho chweet… its great for a wife to have poetry written by his husband… which is a rare case… it shows you both rocks in ur marraige…
thank you so much, am glad you liked it. Only thing is if wife also likes it then we really rock! :):)
WAH KYA BAAT HAI, AAPKE ANDAR KA YE KAWI, KAHAN CHUPA THA AAJ TAK….:
🙂 🙂 bas yahin kahin iss din ka intezaar kar raha tha bahar nikalne ko 🙂