The day I heard the shayari in my earphone I deleted the files and repeatedly heard only sanorita and Ik Junoon! Ya dumb me!!
But later I heard it playing somewhere else and realized that it’s a must HAVE in all your music device, from that day onwards I have seen the movie a minimum 10 times and the ZNMD tracks play on my laptop, mobile and car repeatedly, all day!
Here is the most famous shayari from the movie Zindagi Na Milegi Dobara, written by Javed Akhtar.
Dilon mein tum apni, Betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,
Nazar mein khwabon ki, Bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,
Hawa ke jhokon ke jaise, Aazad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise, Lehron mein behna sikho,
Har ek lamhe se tum milo, Khole apni bhaayein,
Har ek pal ek naya samha, Dekhen yeh nigahaein,
Jo apni aankhon mein, Hairaniyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni, Betaabiyan leke chal rahe ho, Toh zinda ho tum
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin, Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi, Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
…Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai, Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti, Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai, Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin, Yeh jaane kaisa raaz hai
Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan, Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen, Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan, Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan, Aisi tanhaiyaan, Aur main sirf main
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya
Jab jab dard ka baadal chaya, Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya, Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya…Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain, Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa, Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai, Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai